Zakhir Khan Poems


1."Is layak nahi ho tum" :)


Mere kuch sawal hai
jo sirf kayamat ke roz puchunga tumse
kyunki usse pehle tumhari aur meri baat ho sake
iss layak nahi ho tum.

Main janna chahta hu
kya rakeeb ke saath bhi chalte hue shaam ko
yun hi bekhayali mein uske saath bhi haath takra jaata hai kya tumhara?

Kya apni chotti ungliyo se
uska bhi haath thaam lia karti ho
Kya waise hi
Jaisa mera thaama karti thi

Kya bata di saari bachpan ki kahaniya tumne usko
jaise mujhe raat raat bhar baith kar sunayi thi tumne.

kya tumne bataya usko
ki tees 30 ke aage ki Hindi ki ginti aati nhi tumko?

wo saari tasweere jo
tumhari papa ke saath
tumhari behan ke saath
jismein tum badi pyaari lagti thi
kya tumne usey bhi dikha di tumne

ye kuch sawal hai
jo sirf kayamat ke roz puchunga tumse
kyunki usse pehle tumhari aur meri baat ho sake
iss layak nhi ho tum

main puchna chahta hu
ki kya wo bhi jab ghar chorr ne aata hai tumko
toh seediyo par aakhne meech kar
kya meri hi tarha
uske saamne bhi maath aage kar deti ho kya tum
waise hi jaise hi mere samne kiya karti thi

kya sard raato mein band kamro mein
kya wo bhi meri hi tarh
tumhari nangi peet par apni ungliyo se
harf dar harf khud ka naam ghoth ta ha
aur tum bhi kya
akshar ba akshar pehchan ne ki koshish krti ho kya
jaise mere sath kia krti thi

ye kuch sawal hai
jo sirf qayamat ki roz puchunga tumse
kyunki usse pehle tumhari aur meri
baat ho sake iss layak nhi ho tum.


2.Teri Bewafaai ke Angaaro mein lipti rahi hai Rooh meri,

Main iss tarah Aag na hota agar ho jaati tu meri…
Ekk saans se dehek jaata hai shola Dil ka,
Shaayad hawaaon mein faili hai Khushboo teri…..
Yun to bhoole hai hume log kayi pehle bhi bohot se,
Par tum jitna unme se kabhi koi yaad nahi aata…
Mere kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchhunga tumse,
Kyuki uske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…
Main janana chahta hu kya raqib ke saath bhi chalte hue,
Shaam ko yunhi bekhayali main uske saath bhi kya haat takkra jaat hai kya tumhara?

Kya apni chhoti ungli se uska bhi haat thaam liya karti ho tum,
Kya waise hai jaise mera thhama karti thi…?

Kya bataadi saari bhachpan ki kahaniya tumne usko jaise mujhko raat raat bhar baith kar sunaai thi tumne…?

Kya tumne bataya usko ke 30 ke aage ki hindi ki ginti aati nahi tumko…?

Wo jo saari tasverein tumhare papa ke saath , tumhari behen ke saath tumhari thi, jinme tum mujhe badi pyaari lagg rahi ho,
Kya use bhi dikhaadi tumne…?

Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum…

Ke main puchhna chahta hu kya jab wo bhi ghar chhodne aata hai tumko,
To kya seedhiyo pe aankhein neech kar meri hi tarah uske saamne bhi maatha aage kar deti ho tum,
Waise hi jaisa mere saamne kiya karti thi…?

Kya sard raaton mein band kamro mein wo bhi meri hi tarah,
Tumhari nangi peeth par apni ungliyo se harf dar harf khudka ka naam gondta hai,
Aur tum bhi Akshar-be-akshar pehchaanane ki koshish karti ho kya jaise mere saath kiya karti thi…?

Ke kuch sawaal hai jo sirf Qayamatt ke roj puchunga tumse,
Kyuki usske pehle tumhari aur meri baat ho sake iss laayak nahi ho tum……….

No comments:

Post a Comment

7 Facts About Shah Rukh Khan's Home 'Mannat', That Will Blow Your Mind

Mannat  — the almost unreal rendition of a quintessential palace, is surrounded with fans from all over the country, just to catch a fle...